Humne To Ek Muddat Se Sona Hi Chhod Diya Ek Darr SeHumne to ek muddat se sona hi chhod diya ek darr seKi khwab mein bhi jo bichhade to haqeeqat mein mar jayenge!
Phir Koi Aaya Phir koi aayaPhir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahiRaharau hoga kaheen aur chala jayegaDhal chuki raat bikharne laga taron ka gubarLadakhadane lage aewanon mein khwabida chiragSo gai rasta tak tak ke har ek rahaguzarAjanabi khak ne dhundala diye qadmon ke suragGul karo shamen bada do mai-o-mina-o-ayagApne bekhwab kiwadon ko muqaffal kar loAb yahan koi nahin, koi nahi aayega Phir koi aaya dil-e-zar nahi koi nahi
Yaad Nahi Kya KyaYaad nahi kya kyYaad nahi kya kya dekha tha sare manzar bhool gayeUsh ke galiyon se jab laute apna bhi ghar bhool gayeKhub gaye pardes ki apne divar-o-dar bhool gayeShish-mahal ne aisa ghera matti ke ghar bhool gayeTujh ko bhi jab apni qasamen apne wade yaad nahiHum bhi apne khwab teri aankhon mein rakh kar bhool gayeMujh ko jinhone qatl kiya hai koi unhen batalaye `nazeer`Meri lash ke pehlu mein wo apna khanjar bhool gaye
Kisi Ko ApnayKisi ko apnaKisi ko apnay amal ka hisaab kya detaySawaal saaray ghalat thy jawab kya detayKharab sadyon ki be-khwabiyan theen aankhon mainAb in be-aant khala'on main khwaab kya detayHawa ki tarha musafir thy dilbaron k dilUnhain bus aik hee ghar ka azaab kya detaySharaab dil ki talab thi sharaa k pehray mainHum itni tangi main us ko sharaab kya detayMunir dasht shuroo se saraab aasa thaOs aainay ko tamanna ki aab kya detay
Khwabon Ke Andar Zinda Mat RahoKhwabon ke andar zinda mat raho;Balki apne andar khwabon ko zinda rakho;Mohabbat usse nahin hoti hai jo khoobsurat hoKhoobsurat to wo hota hai jisse mohabbat hoti hai
Koi Batayega Kaise Dafnaate Hain UnkoKoi batayega kaise dafnaate hain unkoWo khwab jo dil mein hi mar jaate hain