Khawab Ki Tarah BikharKhawab ki tarah bikhaKhawab ki tarah bikhar jaane ko ji chahta haiAisi tanhai ki mar jane ko ji chahta haiGhar ki wehshat se larzta hun magar jaane kyonSham hoti hai to ghar jaane ko ji chahta haiDoob jaun to koi mauj nishan tak na batayeAisi nadi mein utar jaane ko ji chahta haiKabhi mil jaye to raaste kee thakan jag pareAisi manzil se guzar jaane ko ji chahta haiWahi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahutUsi paiman se mukar jaane ko ji chahta hai
KhawabKhawab, khayal, haqeeqat, yaqeen, gham aur khushiyaanZara si to umar hai meri, bhala kis kis ke saath guzarunga
Aye Mujhe Khawab Dikhane Wale Logo Sun LoAye mujhe khawab dikhane wale logo sun loMera dukh yeh hai koi khawab nahin bhoolta main
Na Jane Kaun Si Galiyon Mein Chor Aaya HunNa jane kaun si galiyon mein chor aaya hunCharagh jalte hue khawab muskurate hue
Sehmi Si Nigahon Mein Khawab Hum Jaga DengeSehmi si nigahon mein khawab hum jaga dengeSooni si rahon mein phool hum bicha dengeHamare sang muskura kar to dekhiyeHar gham aapka hum bhula denge