Jigar Ki Aag Bujhe Jigar Ki Aag Bujhe Jald Jismen Woh Shai LaaJigar ki aag bujheJigar ki aag bujhe jald jismen woh shai laa;Laga ke barf mein, saqi, surahi-e-mai laa;Qadam ko haath lagaata hun, uth kahin, ghar chal;Khuda ke waste, itne tau paaon mat phaila;Nikal ke wadi-e-wahshat se dekh, ai majnun;Ke zor dhun mein ab aata hai naaqa-e-laila;Gira jo haath se farhad ke kahin teesha;Daroon-e-koh se nikli sada-e-wavela;Nazakat uske mukhre ki dekho, insha;Naseem-e-subh jo chhoo jaae, rang ho maila!Translation:Surahi-e-mai = flak of wineWadi-e-wahshat = wilds of frenzyNaaqa-e-laila = comes your lailaSada-e-wavela = heardNaseem-e-subh = morning breeze