Tumne To Keh DiyaTumne to keh diyTumne to keh diya ki mohabbat nahi miliMujhko to ye bhi kehne ki mohlat nahi miliNeendo ke des jaate, koi khawab dekhteLekin diya jalane se fusat nahi miliTujhko to khair shahar ke logo ka khauf thaAur mujhko apne ghar se ijajat nahi miliPhir ikhtilaf-e-rai ki surat nikal padiApni yahan kisi se bhi aadat nahi miliBe-zar yun hue ki tere ahad mein humeinSab kuch mila, sukun kee daulat nahi mili
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Pe RaunaqUnke dekhe se jo aa jaati hai munh pe raunaqWoh samajhte hain ke beemaar ka haal achcha hai
Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jaate HainHum tere hijr mein andar se bikhar jaate hainZinda lagte hain magar asal mein mar jaate hainJab kabhi bolta hai hans ke kisi aur se tuKitne khanjar mere seene mein utar jaate hain
Asaani Se Dil Lagaaye Jaate HainAsaani se dil lagaaye jaate hainMagar mushkil se vaade nibhaye jaate hainMohabbat le aati hai un raahon peJahan diyon ke badle dil jalaye jaate hain
Tapish Se Bach Ke Ghataon Mein Baith Jaate HainTapish se bach ke ghataon mein baith jaate hain;Gaye huyon ki sadaaon mein baith jaate hain;Hum ird gird ke mausam se jab bhi ghabraayein;Tere khayaal ki chhaon mein baith jaate hain