Jab Ishq Sikhata HaiJab ishq sikhata haJab ishq sikhata hai aadaab-e-khud-aagahiKhulte hain ghulamon par asaraar-e-shahanshahi'attaar' ho 'rumi' ho 'raazi' ho 'ghazaali' hoKuch haath nahin aataa be-aah-sahar-gaahiNaumeed na ho in se ai rah-bar-e-farzaanaKam-kosh to hain lekin be-zauq nahin raahiAi tayar-e-lahooti us rizq se maut achhhiJis rizq se aati ho parvaaz mein kotahiDaara o sikandar se woh mard-e-faqeer aulaaHo jiski faqeeri mein boo-e-asadool-laahiAaeen-e-jawan mardaan haq-goyi o be-baakiAllaah ke sheron ko aati nahin roobahi
Khayaal-e-Husn Mein Yun Zindagi Tamaam HuiKhayaal-e-husn mein yun zindagi tamaam huiHaseen subah hui aur haseen shaam huiBaqaar-e-ishq bas ab sar jhuka de kadamon parUdhar se tere liye sabaqat-e-salaam huiHar ek apni jagah khush har ek yahi samajhaNigah-e-khaas b-tarz-e-nigaah-e-aam huiNazar mili to tabassum raha khamoshi parNazar phiri to zara himmat-e-kalaam huiBas ab to tum ne mohabbat ka le liya badlaMaaf karna jo takleef-e-inteqam huiHai dekhne hi ka waqfa jise samajhte hain'raza' wo dhoop chadhi din dhala wo shaam hui
Mano Ishq Te Vair Di Ikko JaatMano ishq te vair di ikko jaatDonne hunde dil cheerIk de wich paindi dunia chaddniTe ik de vich zameer
Kya Dhoondtey Ho Tum Ishq Ko Aye BekhabarKya dhoondtey ho tum ishq ko aye bekhabarYeh khud hi dhond leta hai, jisse barbaad karna ho
Rahega Ishq Tera Khaak Mein Mila Ke MujheRahega ishq tera khaak mein mila ke mujheKi ibtidaa mein hue ranj intihaa ke mujheDiye hain hijar mein dukh dard kis balaa ke mujheShab-e-firaaq ne mara litaa litaa ke mujhe
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota HaiKyon hijr ke shikwe karta hai kyon dard ke rone rota haiAb ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota hai