Jan-E-Sukun Aa Bhi Jan-e-sukun aa bhiJan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar haiAankhon se ashk hai ravan jan bhi beqarar haiHone ko fasl-e-gul bhi hai davat-e-aish hai magarApni bahar ka mujhe aj bhi intazar haiSare sahare ishq ke toot chuke hain hijr meinEk tumhari yaad bas dard ke gam-gusar haiAhad-e-vafa ka aap ke lutf-o-karam ka aap keAur kisi ko ho na ho mujh ko aitabar haiLut gai gham ke aabaru lut chuki dil ke aarzooYahya nigah-e-lutf ka phir bhi ummidvar haiYahya jasdanwall
Saanson Ki Hararat SeSaanson ki hararat sSaanson ki hararat se pighal jaanay ka mausamAaya hai teri aanch mein jal jaanay ka mausamHam ko nahi maloom tha ishq ka aaghaazYaadon mein kahin door nikal jaanay ka mausamLagta hai ki chehre pe tere theher gaya haiYak lakht kayi rang badal jaanay ka mausamAey sheher tasalli tere mashkoor hain hamAaya hee nahi dil ke sambhal jaanay ka mausamYe sheher-e-tamanna bhi anokha hai ki is parBarsaat mein bhi rehta hai thal jaanay ka mausamChehre pe agar hai mere subaah ka ujaalaAankhon mein magar shaam ke dhal jaanay ka mausam
Kya Kahun Tum SeKya kahun tum sKya kahun tum se main ki kya hai ishqJaan ka rog hai, bala hai ishqIshq hi ishq hai jahan dekhoSare aalam mein bhar raha hai ishqIshq mashuq ishq aashiq haiYani apna hi mubtala hai ishqIshq hai tarz-o-taur ishq ke taeenKahin banda kahin khuda hai ishqKaun maqsad ko ishq bin pahunchaAarzoo ishq wa mudda hai ishqKoi khwaahan nahin mohabbat kaTu kahe jins-e-narawa hai ishqMeer ji zarad hote jaate hainKya kahin tum ne bhi kiya hai ishq
Kya Kahun Tum Se Main Ki Kya Hai IshqKya kahun tum se main ki kya hai ishqJaan ka rog hai, bala hai ishqIshq hi ishq hai jahaan dekhoSaare aalam mein bhar raha hai ishqIshq maashuq ishq aashiq haiYaani apna hi mubtala hai ishqIshq hai tarz-o-taur ishq ke taeenKahin banda kahin khuda hai ishqKaun maksad ko ishq bin pahunchaAarzoo ishq wa mudda hai ishqKoi khwaahan nahi mohabbat kaTu kahe jins-e-narwa hai ishqMeer ji zarad hote jaate hainKya kahin tum ne bhi kiya hai ishq
Ishq Ko Taqleed Se Azaad KarIshq ko taqleed se azaad karDil se giraya aankh se fariyad karBaaz aa ai banda-e-husn mizazYun na apni zindagi barbaad karAi khayalon ke makeen nazron se doorMeri veeraan khalvatein aabaad karNazaz mein hichki nahi aayi mujheBhoolne wale khuda-raa yaad karHusn ko duniya kee aankhon se na dekhApni ek tarz-e-nazar izaad karIshrat-e-duniya hai ek khwab-e-baharKabaa-e-dil dard se aabaad karAb kahan 'ehsaan' duniya mein wafaTauba kar nadaan khuda ko yaad kar
Yeh Darya Ishq Mein Qadam Zara Soch Ke RakhnaYeh darya ishq mein qadam zara soch ke rakhnaIsh mein utarne wale ko kinara nahi milta