Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon MeinZara si der ko aaye the khwab aankhon mein;Phir us ke baad musalsal azab aankhon mein;Wo jis ke naam kee nisbat se roshan tha wujud;Khatak raha hai wahi aftab aankhon mein;Jinhe mata-e-dil-o-jan samajh rahe the hum;Wo aaine bhi hue behijab aankhon mein;Ajab tarah ka hai mausam ki khak udti hai;Wo din bhi the ki khile the gulab aankhon mein;Meri ghazal teri vahshaton kee khair kee hai;Bahut dino se bahut iztarab aankhon mein;Na jane kaisi qayamat ka peshkhema hai;Ye uljhane teri be-intasab aankhon mein!
Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon MeinZara si der ko aaye the khwab aankhon meinPhir us ke baad musalsal azaab aankhon meinWo jis ke naam kee nisbat se roshani tha wujoodKhattak raha hai wohi aaftaab aankhon meinJinhen mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the humWo aaine bhi hue behijab aankhon meinAjab tarah ka hai mausam kee khak udti haiWo din bhi the ki khile the gulab aankhon meinMere ghazal teri wahshaton kee khair, ke haiBahut dinon se bahut iztarab aankhon meinNa jane kaisi qayamat ka peshkhema haiYe uljhanein teri be-intasaab aankhon mein
Zindgi Ke Safar Ko Lafzo Mein Piroya Hua HaiZindgi ke safar ko lafzo mein piroya hua haiApni har ghazal ko dard mein bhigoya hua haiAaj zyada zor-zor se wah-wah na kehna kambakhtonKyunki andar mera khadoos baap soya hua hai!
Teri Saadgi Ko Niharne Ka Dil Karta HaiTeri saadgi ko niharne ka dil karta haiTamaam umar tere naam karne ka dil karta haiEk muqammal shayari hai tu kudrat keeTujhe ghazal banake zuban pe lane ka dil karta hai
Mujh Par Sitam Dha Gaye Meri Hi Ghazal Ke SherMujh par sitam dha gaye meri hi ghazal ke sherPadh-padh ke kho rahe hain woh, kisi aur ke khayal mein
Tumhari Khusboo Se Mehakti Hain Wo Ghazal BhiTumhari khusboo se mehakti hain wo ghazal bhiJis mein likhta hun main ki tumhein bhool geya hun