Badla Lena Meri Fitrat:Badla lena meri fitratMain lamhon ko waqt ki pukaar deta hoonIsi lagan mein kayi shaamein guzaar deta hoonMain yunhi har ek se be-rabt nahi miltaHar ek shakhs ko us ka mayyaar deta hoonMain gham ki kashti ko dubona nahi chaahtaBojh barrh jaye to kuch utaar deta hoonKhushiyan koi maangey to muft deta hoonGham maangey koi to udhaar deta hoonBadla lena meri fitrat mein nahi 'saaqi'Khizaan ke badley bahaar deta hoon
Jo Khushi Hai Fani Toh Gham Bhi FaniJo khushi hai fani toh gham bhi faniNa ye javedani na woh javedaniFani: mortaJavedani: immortal, forever, eterna
Agar Yun Hi Ye Dil Agar yun hi ye dilAgar yun hi ye dil satata rahegaTo ik din mera jee hi jata rahegaMain jata hun dil ko tere pas choreMeri yaad tujhko dilata rahegaGali se teri dil ko le to chala hunMain pahunchunga jab tak yeh aata rahegaQafas main koi tum se ai ham-safironKhabar kal kee humko sunata rahegaKhafa ho ki ai dard mar to chala tuKahan tak gham apna chupata rahega
Dono Jahaan TeriDono jahaan terDono jahaan teri mohabbat mein haar keWo ja raha hai koei shab-e-gham guzaar ke;Veeran hai maykada khum-o-sagar udas hainTum kya gaye ki rooth gaye din bahar ke;Ik fursat-e-gunaah mili, wo bhi chaar dinDekhe hain humne haunsle parwaradigaar ke;Duniya ne teri yaad se began kar diyaTum se bhi dilfareb hain gham rozgar ke;Bhule se muskura to diye the wo aaj 'faiz'Mat puch valvale dil-e-nakardkaar ke
Kuch Aarazi Ujale Bachaye Hue Hain LogKuch aarazi ujale bachaye hue hain logMutthi mein juganuon ko chupaye hue hain logUs shakhs ko to qatal hue der ho gayiAb kis liye ye bheed lagaye hue hain logBarason purane dard na athkheliyan karenAb to naye ghamon ke sataye hue hain logAankhein ujad chuki hain magar rang rang keKhwabon kee ab bhi fasal lagaye hue hain logKya reh geya hai shehar mein khandaraat ke sivaKya dekhne ko ab yahan aaye hue hain logKuch din se be-dimagi-e-'azahar' hai rang parBasti mein us ko 'meer' banaye hue hain log
Jeete Jee Hum To Gham-e-Farda Kee Dhun Mein Mar GayeJeete jee hum to gham-e-farda kee dhun mein mar gayeKuch wahi achhhe hain jo waqif nahi anjam seTranslationGham-e-farda = tomorrow's sorro