Khyal Aata Hai Jab Bhi Uska ChehraKhyal aata hai jab bhi uska chehraTo labon pe aksar fariyad aati haiBhool jata hun saare gham aur sitam uskeJab bhi uski thodi si mohabbat yaad aati hai
Kahun Kis Se Main Ki Kya HaiKahun kis se main ki kya hai, shab-e-gham buri bala haiMujhe kya bura tha marna agar ek baar hotaHue mar ke jo hum ruswa, hue kyon na gharq-e-dariyaNa kabhi janaza uthta na kahin mazaar hota
Tujhe pane ke liye kuchh bhi kar sakta huTujhe pane ke liye kuchh bhi kar sakta huTere pyar mein jee aur mar sakta huPhir bhi tu nahi mili to koi gham nahiYeh formula dusri pe bhi try kar sakta hu
Tumhare chaand se chehre peTumhare chaand se chehre pe gham achche nahi lagteHamein keh do chale jao jo hum achche nahi lagteHumein woh zhakhm do jana jo sari umar na bhar payeJo jaldi bhar ke mit jaye woh zhakhm achche nahi lagteTumhein har ghazal mein likhna mera dastoor hai lekinSari mehfil kare tere charche mujhe achche nahi lagteMain chahat ki us manzil pe aa pahuncha hoon kiTumhare chahane wale mujhe achche nahi lagte
Tu hi dil hai aur tu hi jaan hai meriTu hi dil hai aur tu hi jaan hai meriTujhse hi jahaan me pehchan hai meriTujhe apna banalu tujhe tujhse churaluBas jiyun sang tere tammana hai meriTere liye tode maine sare rishteGham bhi hai jhela maine haste hasteDuniya bhulayi maine tere waasteSang tu chale jo bhi ho raasteTere bina duniya viraan hai meri
Jab Aaina Koi Dekho Ik Ajnabi DekhoJab aaina koi dekho ik ajnabi dekhoKahan par layi hai tumko yeh zindagi dekhoMuhabbaton mein kahan apne waste fursatJise bhi chaho woh chahe meri khusi dekhoJo ho sake toh jyada hi chahna mujhkoKabhi jo meri mohabbat mein kuchh kami dekhoJo door jaaye toh gham hai jo paas aaye toh gham haiNa jaane kya hai woh kambakht aadmi dekhoUjala toh nahi kah sakte isko hum lekinJara si kam toh huyi hai andhkar dekho