Woh Kuch Gehri Soch Mein Aise Doob Geya HaiWoh kuch gehri soch mein aise doob geya haiBaithe baithe nadi kinare doob geya haiAaj kee raat na jaane kintni lambi hogiAajka suraj shaam se pehle doob geya haiWoh jo pyasa lagta tha sailab-zada thaPaani paani kehte kehte doob geya haiShor to yun utha tha jaise ik toofan hoSanaate mein jaane kaise doob geya haiAakhiri khawhish poori kar ke jeena kaisa"anees" bhi sahil tak aa ke doob geya hai
Tere Sheher Teri Soch Se Nikal JaungiTere sheher teri soch se nikal jaungiKisi udaas sham mein dhal jaungiTu jo mukar geya hai har baat se apniDekh lena ek din main bhi badal jaungiMat dikha mujh ko apna ye masoom chehraJab ki tu janta hai main pighal jaungiChahe laakh tadpun tere intezar meinMat lout ke aana main sambhal jaungiTera hona itna zaroori to nahi haiMain to yaadon ke khilauno se behel jaungi
Ungliya Aaj Bhi Isi Soch Mein Gum HainUngliya aaj bhi isi soch mein gum hainKi kaise usne naye haath ko thama hoga!
Rah Pe Nikle The Yeh Soch Kar Kisi Ko Bana Lenge ApnaRah pe nikle the yeh soch kar kisi ko bana lenge apnaMagar iss khawish ne zindagi bhar ka musafir bana diya
Jaane kya soch ke lehre sahil se takrati haiJaane kya soch ke lehre sahil se takrati haiAur phir se wapis laut jati hainSamaj nahi aata ke woh kinaro se bewafai karti haiYa phir laut ke samandar se wafa nibhati hai.