Shaam Se Aaj Saans Bhaari HaiShaam se aaj saans bhaari hai, bekaraari hi bekaraari haiAapke baad har ghadi humne, aap ke saath hi guzaari hai
Shaam Ko SogwaarShaam ko sogwaaShaam ko sogwaar kartay rahayHam tera intezaar kartay rahayTu tou kaar-e-jahan mein tha masroofAur hum tujh se pyaar kartay rahayKis lye vasl ki kahani meinHijr ko hissaydaar kartay rahayDil ko bas mubtala-e-gham rakhaWehshaton ka shumaar kartay rahay
Mere Dil Ke ShaamMere dil ke shaaMere dil ke shaam saweray hoIk baar kaho tum mere hoMujhe tum bin kuch dikhaayi na deKyun itnay ghoor andheray hoMein panchi pyaar ke deson kiTum mere rain basairay hoMein maal-o-manaal mohabbat kaTum daaku chor lutairay hoKuch bolo ya aazaad karoKyun khamooshi se ghairay ho
Har Shaam Guzarti Hoon Main Teri Gali SeHar shaam guzarti hoon main teri gali seDaaman magar taar hota hai aankhon ki nami seJis-jis lamhe mein tu na raha mere rubarooNafrat hai mujhe us har ek ghari se
Shaam Suraj Ko Dhalna Sikhaati HaiShaam suraj ko dhalna sikhaati haiShama parwaane ko jalna sikhaati haiGirne waale ko takleef to hoti hai magarThokar hi insaan ko chalna sikhaati hai
Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Shaam Hone DoAbhi suraj nahi dooba zara si shaam hone doMain khud laut jaunga mujhe nakaam hone doMujhe badnaam karne ka bahana dhoondhte ho kyonMain khud ho jaunga badnaam pehle naam to hone do