Kal Jinhe Chhu Nahin Sakti Thi Farishton Kee NazarKal jinhe chhu nahin sakti thi farishton kee nazarAaj wo raunaq-e-bazar nazar aate hain
Meri Nazar Se Na Ho Door Ek Pal Ke LiyeMeri nazar se na ho door ek pal ke liyeTera wajood hai lazim meri ghazal ke liyeKahan se dhoond ke laaun charag se wo badanTaras gayi hain nigahein kanwal kanwal ke liye
Nahi Jo Dil Mein Jagah To Nazar Mein Rehne DoNahi jo dil mein jagah to nazar mein rehne doMeri hayaat ko to apne asar me rehne doMain apni soch ko teri gali me chhod aaya hunMere wazood ko khwabon ke ghar mein rehne do
Kis Kis Ko Haaye Tere Taghaaful Kaa De JawaabKis kis ko haaye tere taghaaful kaa de jawaabAksar to reh gaye hain jhuka kar nazar ko humAllaah re wo aalame rukhsat ki der takTaakte rahe hain yun hi teri rehguzar ko hum
Hum Ne Dekha Tha Faqat Shaunk-e-Nazar Kee KhatirHum ne dekha tha faqat shaunk-e-nazar kee khatirYeh na socha tha ki tum yun dil mein utar jaoge
Sar-e-Raah Jo Unse Nazar Mili To Naqsh Dil Ke Ubhar GayeSar-e-raah jo unse nazar mili to naqsh dil ke ubhar gayeHum nazar mila kar jhijhak gaye woh nazar jhuka kar chale gaye