Ek Jaam Khankta JaamEk jaam khankta jaaEk jaam khankta jaam, ki saqi raat guzrne wali haiEk hoshruba inaam, ki saqi raat guzrne wali haiWo dekh sitaron ke moti har aan bikhrte jaate hainAflaak pe hai kohram, ki saqi raat guzrne wali haiYeh waqt nahi hai baaton ka palkon ke saaye kaam mein laIlham koi ilham, ki saqi raat guzrne wali haiMadhoshi mein ehsas ki unche jeene se gir jaane deIss waqt na mujh ko tham, ki saqi raat guzrne wali hai
Taaron Se Mera Jaam Bharo Main Nashe Mein HunTaaron se mera jaam bharo main nashe mein hunAi sakinaan-e-khuld suno main nashe mein hunKuch phool khil rahe hain sar-e-shakh-e-may-kadaTum hi zara ye phool chuno main nashe mein hunThehro abhi to subah ka maara hai zau-phishanDekho mujhe fareb na do main nashe mein hunNasha to maut hai gham-e-hasti kee dhoop meinBikhara ke zulf saath chalo main nashe mein hunMela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zeestAb jaam saamne hi rakho main nashe mein hunPayal chanak rahi hai nigaar-e-khayal keeKuch ehatimaam-e-raqs karo main nashe mein hunMain dagmaga raha hun bayabaan-e-hosh meinMere abhi kareeb raho main nashe mein hunHai sirf ek tabasum-e-rangeen bahut mujhe'saghar' b-dosh lala-rukhon main nashe mein hun
Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya FaydaJaam pe jaam peene ka kya faydaSham ko pee, subah utar jayegiAre peeni hai to do boond dosti ke peeSari zindagi fir bas nashe mein guzar jayegi
Jaam Peene Se Kya FaydaJaam peene se kya fayda, shaam mein pee subha utar jaayegiArey peeni hai to do boond mohabbat ki pee, saari zindagi nashe mein hi guzar jaayegi
Sheeshe Mein Doob Kar Peete Rahe Us Jaam KoSheeshe mein doob kar peete rahe us jaam koKoshishein to bahut ki magar bhula na paye us ek naam ko
Jaam Peene Sai Kya FaidaJaam peene sai kya faidaSham ko pee subah utar jayegiArre do boond mohobbat ke peele saqiZindagi saari nashe mein guzar jayegi