Lab Pe Pabandi To Hai Ehsas Par Pehra To HaiLab pe pabandi to hai ehsas par pehra to haiPhir bhi ahl-e-dil ko ahval-e-bashar kehna to haiKhoon-e-adaa se na ho khoon-e-shahidaan se hi hoKuch na kuch is daur mein rang-e-chaman nikhra to haiApni ghairat bech daalen apna maslak chhod denRehnumaon mein bhi kuch logon ka ye mansha to haiBhuj rahe hain ek ek kar ke aqidon ke diyeIs andhere ka bhi lekin saamna karna to haiJuth kyon bole farogh-e-maslahat ke naam parZindagi pyari sahi lekin humein marna to hai