Ab Kis Se KahenAb kis se kaheAb kis se kahen aur kaun sune jo haal tumhare baad huaIss dil kee jheel see aankhon mein ek khwab bahut barbad huaYe hijr-hawa bhi dushman hai iss naam ke saare rangon keeWo naam jo mere honthon pe khushbu kee tarah aabad huaUs shehar mein kitne chehre the kuch yaad nahi sab bhool gayeEk shakhs kitabon jaisa tha wo shakhs zubani yaad huaWo apne ganv kee galiyan thi dil jin mein nachta gata thaAb iss se fark nahi padta nashaad hua ya shaad huaBenaam sataish rehti thi in gehri sanwali aankhon meinAisa to kabhi socha bhi na tha ab jitna bedad hua
Jee Uthe Hashar MeinJee uthe hashar meiJee uthe hashar mein phir jee se guzarne waleYaan bhi paida hue phir aap pe marne waleHai udasi shab-e-matam kee suhani kaisiChaanv mein taaron kee nikale hain sanwarne waleHum to samjhe the ki dushman pe uthaya khanjarTumne jana ki humin tum pe hain marne waleSabr kee mere, mujhe daad zara de denaO mere hashar ke din faisala karne waleKya maza deti hai bijli kee chamak mujhko 'riyaz'Mujhse lipatate hain, mere naam se darne wale
Pyaar Da Tei Dushman Eh Jamana HaiPyaar da tei dushman eh jamana haiHar aashiq de pyaar da apna hi fsana haiSabnu pata vi hai ke dard hi milna hai pyaar vichFir v na jane kyu har koi pyaar vich hi diwaana hai
Waar Is Qadar Shadeed Ke Dushman Hi KartaWaar is qadar shadeed ke dushman hi kartaChehra magar zaroor kisi ashnaa ka tha
Dooriyo ki na parwah kiya karoDooriyo ki na parwah kiya karoJab dil chahe yaad kiya karoDushman nahi dost hai hum aapkeHamara sms na aaye toh khud bhej diya karo