Haath Chhute Bhi TohHaath chhute bhi toHaath chhute bhi toh rishte nahi chhoda karteWaqt ki shaakh se lamhe nahi toda karteJiski aawaaz mein silwat ho nigahon mein shikanAisi tasveer ke tukade nahi joda karteShahad jeene ka mila karta hai thoda thodaJaane waalon ke liye dil nahi thoda karteLag ke sahil se jo behta hai, use behane doAise dariya ka kabhi rukh nahi moda karteJaagne par bhi nahin aankh se girti kircheinIss tarah khawabon se aankhein nahin phodaa karteJa ke kohsar se sar maaro ki aavwaz to hoKhasta deewaron se maatha nahin phodaa karte
Haath Khaali Hain Tere Shehar Se Jaate JaateHaath khaali hain tere shehar se jaate jaateJaan hoti to meri jaan lutate jaateAb to har haath ka pathar humnein pahunchta haiUmar guzri hai tere shehar mein aate jaateAb ke mayus hua yaaron ko rukhsat karkeJa rahe the to koi zakham lagate jaateReengne kee bhi izazat nahi hum ko warnaHum jidhar jaate naye phool khilate jaateMain to jalte hue sehraon ka ek pathar thaTum to dariya the meri pyaas bujhate jaateHum se pehle bhi musafir kayi guzre hongeKam se kam raah ke pathar to hatate jaate
Tum Takalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz'Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho 'faraz'Dost hota nahin har haath milane wala
Ohh Rusdi Rehi Tee Mein Manaunda RehaOhh rusdi rehi tee mein manaunda rehaHaath kai vaari kanaa nu vi launda rehaJadoan main russea ohne haath jodh diteGusse vich aa ke mere khat morh dite
Ikk Zara Haath Badha Dein To Pakad Lein DaamanIkk zara haath badha dein to pakad lein daamanUske seene mein sama jaaye hamari dhadkanItni kurbat hai to phir faaslaa itna kyun hai
Tere Haath Kee Main Wo Lakeer Ban JaunTere haath kee main wo lakeer ban jaunSirf main hi tera muqaddar teri takdeer ban jaunMain tujhe itna chahun ki tu bhool jaye har rishtaSirf main hi tere har rishte kee tasveer ban jaun