Kaise Bayan Karu Alfaz Nahi HaiKaise bayan karu alfaz nahi haiMere dard ka tuje ehsas nahi haiPuchte hain sub tumhe kya dard haiDard ye hai ki ab wo mere pass nahi hai
Apni Nazroon Se JoApni nazroon se jApni nazroon se jo gir jaye woh chehra na banaMujh ko lamhe-a-fursat ka khilona na banaSaink'roon rastey hain ajnabi ho janey keTark karna hai tou talook ka bahana na banaJhoot ehsaas ki qandeel ko boojha deta haiMuhjey insaan samja khud ko farishta na banaApni yaadein tu mere dil main basi rehne deyIs mehaktey huay gulzaar ko sehra na banaMein tu pehle hi zakhum liye phirta hoonMuhjey aab shehar dard-e-tamasha na banaThak gaeen hain mere ehsaas ki aakhainNqash-e-deewar per aab koi afsana na bana
Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare KhatDukh dard mein hamesha nikale tumhare khatAur mil gayi khushi to uchhale tumhaare khatSab choodiyan tumhari samandar ko saunp deeAur kar diye hawa ke hawale tumhare khatMere lahoo mein goonj raha hai har ek lafzMain ne ragon ke dasht mein paale tumhare khatYun to hain be-shumar wafa kee nishaniyanLekin har ek shay se nirale tumhare khatJaise ho umar bhar ka asasa gareeb kaKuch is tarah se main ne sambhale tumhare khatAhal-e-hunar ko mujhe pe 'wasi' aitraz haiMain ne jo apne sher mein dhaale tumhare khatParwah mujhe nahi hai kisi chaand kee 'wasi'Zulmat ke dasht mein hain ujaale tumhare khat
Dil Hi To Hai Na Sang-o-KhishtDil hi to hai na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyonRoyenge hum hazar baar koi humein sataye kyonDaer nahi, haram nahi, dar nahi, aastaan nahiBaithe hain rehguzar pe hum gair humein uthaye kyonTranslationIt is only a heart, not stone or mortar, why should it not fill with painWe will wail a thousand times, why should anyone torment usIt is not a temple, mosque, a dearly beloved's door, nor a patron's entrywayWe are wayfarers, why should anyone evict us
Mat Kar Koshish Mere Dard Ko Samjhne KiMat kar koshish mere dard ko samjhne kiTu pehle ishq kar, chot kha phir dawa likh mere dard ki
Dard-e-Dil Jab Had Se Guzar Jata HaiDard-e-dil jab had se guzar jata haiBankar syahi kaagaz pe bikhr jata haiJab jab utha hai teri yaadon ka dhwanBankar nasha is dil mein utar jata hai