Dil Hii To HaiDil hii to haDil hii to hai, na sang-o-khisht, dard se bhar na aaye kyuunRoyenge ham hazaar baar, koii hamen sataaye kyuunDair nahiin, haram nahiin, aastaan nahiinBaithe hain rahguzar pe ham, ghair hamen uthaaye kyuunQaid-e-hayaat-o-band-e-gham asl men donon ek hainMaut se pahale aadmii gham se najaat paaye kyuunJab voh jamaal-e-dil-faroz, surat-e-meher-neemrozAap hii ho nazara-soz, parde men munh chhupaaye kyuunDashna ghamza jaansitaan, naavak-e-naaz be-panaahTeraa hii aks-e-rukh sahil saamne tere aaye kyuunGhaalib-e-khastaa ke baghair kaun se kaam band hainRoiye zaar zaar kyuun? kiijiye haay, haay kyuunTranslationDair = templ
Zindgi Ke Safar Ko Lafzo Mein Piroya Hua HaiZindgi ke safar ko lafzo mein piroya hua haiApni har ghazal ko dard mein bhigoya hua haiAaj zyada zor-zor se wah-wah na kehna kambakhtonKyunki andar mera khadoos baap soya hua hai!
Raha Na Dil Mein Woh Bedard Aur Dard RahaRaha na dil mein woh bedard aur dard rahaMuqeem kaun hua hai, maqaam kiss ka thaa
Dil Ke Dard Ko Chupana Jitna Mushkil HaiDil ke dard ko chupana jitna mushkil haiToot kar fir muskurana utna hi mushkil haiKisi ke sath door tak jao aur fir dekhoKi akele laut kar aana kitna mushkil hai
Kyon Hijr Ke Shikwe Karta Hai Kyon Dard Ke Rone Rota HaiKyon hijr ke shikwe karta hai kyon dard ke rone rota haiAb ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuch hota haiAaghaz-e-musibat hota hai apne hi dil kee shaamat seAankhon mein phool khilaata hai talvon mein kaante bota hai
Kon Kehta Hai Nafrton Mein Dard Hai 'Mohsin'Kon kehta hai nafrton mein dard hai 'mohsin'Kuch mohabbatein bhi badi aziyat naak hoti hain