Dil Geya Tumne Liya Hum Kya KarenDil geya tumne liya hum kya karenJaane wali cheez ka gham kya karenHum ne mar kar hijr mein payi shifaAise achhon ka maatam kya karenApne hi gham se nahi milti najaatIs binaa par fikr-e-aalam kya karenEk saaghar par hai apni zindagiRafta rafta is se bhi kam kya karenKar chuke sab apni apni hikamteinDum nikalta ho to humdum kya karenKehte hain ahl-e-sifarish mujh se 'daag'Teri kismat hai buri hum kya karen
Jo Aag Lagai Thi Tumne Usko To Bujhaya Ashkon NeJo aag lagai thi tumne usko to bujhaya ashkon neJo ashkon ne bhadkai hai us aag ko thanda kaun kare
Aadatan Tumne Kar Diye VaadeAadatan tumne kar diye vaade, aadatan hum ne bhi aitabaar kiyaTeri raahon mein baarahaa ruk kar, humne apna hi intazaar kiyaAb na maangenge zindagii ya rab, ye gunaah humne ek bar kiya
Dil Bhi Toda To Salike Se Na Toda TumneDil bhi toda to salike se na toda tumneBewafai ke bhi aadab hua karte hain