Rukne Ka Samay Guzar Geya HaiRukne ka samay guzar geya haiJana tera ab thehar geya hai;Rukhsat kee ghadi khadi hai sar par;Dil koi do-neem kar geya hai;Maatam kee fazaa hai shehar-e-dil mein;Mujh mein koi shakhs mar geya hai;Bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis;Phir khwaab-e-sabaa bikhar geya hai;Bas ek nigaah kee thi us ne;Saraa chehra nikhar geya hai!