Raat Kee Tanhai Mein Akele The HumRaat kee tanhai mein akele the humDard kee mehfilon mein ro rahe the humAap hamare bhale hi kuch nahi lagtePar fir bhi aapke bina bilkul adhoore hain hum
Jo Hua Ik Bar WohJo hua ik bar woJo hua ik bar woh har baar ho, aesa nahin hotaHamesha aik hi se pyaar ho, aesa nahin hotaHar ik kashti ka apna hi tajarba hota hai darya meinSaffar main roz hi manjhdaar ho, aesa nahin hotaKahani main to kirdaaron ko jo chahe bana dijiyeHaqeeqat bhi kahaani kaar ho, aesa nahin hotaKahin to koi hoga jis ko apni bhi zaroorat hoHar ik baazi mein dil ki haar ho, aesa nahi hotaSikhaa deti hain chalna thokrain bhi raahgiron koKoi raasta sadaa dushwaar ho, aesa nahin hota
Chedne Ka To Mazaa Tab HaiChedne ka to mazaa tab haChedne ka to mazaa tab hai kaho aur sunoBaat mein tum to khafaa ho gaye, lo aur sunoTum kahoge jise kuchh, kyun na kahega tum koChhod devegaa bhalaa, dekh to lo, aur sunoYahi insaaf hai kuchh socho to apne dil meinTum to sau keh lo, meri ek na suno aur sunoAafareen tum pe yahi chahiye shabash tumheinDekh rota mujhe yun hansne lago aur sunoBaat meri nahin sunte jo akele mil karAise hi dhang se sunaun ki suno aur suno
Musafir Ke Raaste Badalte RaheMusafir ke raaste badalte raheMuqaddar mein chalna tha chalte raheKoi phool sa haath kandhe pe thaMere paanv sholon pe chalte raheMere raaste mein ujala rahaDiye us kee aankhon ke jalte raheWo kya tha jise humne thukara diyaMagar umar bhar haath malte raheMohabbat adavat wafa berukhiKiraye ke ghar the badalte raheSuna hai unhein bhi hawa lag gayiHawaon ke jo rukh badalte raheLipat ke charagon se wo so gayeJo phoolon pe karvat badalte rahe
Majburi Mein Jab Koi Juda Hota HaiMajburi mein jab koi juda hota haiZaroori nahi ki wo bewafa hota haiDe kar wo aapki aankhon mein aansuAkele mein aapse bhi zyada rota hai
Udaas Muskurahaton Ke PeecheUdaas muskurahaton ke peeche, ghum ke railay hainAb tumhain kya batayain, ke tum bin kitne akele hain