Faasla Nazron Ka Dhokha Bhi To Ho Sakta HaiFaasla nazron ka dhokha bhi to ho sakta haiWoh mile ya na mile haath badha kar dekho
Pindaar Ke Khogar KoPindaar ke khogar kPindaar ke khogar ko naqaam bhi dekho geAaghaaz se waaqif ho anjaam bhi dekho geRungini-o-duniya se mayoos sa ho janaDukhta howa dil le kar tanhaayi mein kho jaanaTarsi howi nazron ko hasrat se jhuka lenaFaryaad ke tukron ko aahon mein chhupa lenaRaaton ki khamooshi mein chhup kar kubhi ro lenaMajboor jawaani ke malboos ko dho lenaJazbaat ki wusat ko sajdon se basaa lenaBhooli howi yaadon ko seenay se laga lena
Kaash Yaadon Ka Matlab Wo SamajhteKaash yaadon ka matlab wo samajhteKaash khwabon ka matlab wo samajhteNazar milti hai hazaar nazron seKash hamari nazar ka matlab wo samajhte
Karte Nahi Izhaar Phir Kyon Karte Ho Tum PyaarKarte nahi izhaar phir kyon karte ho tum pyaarNazron se baatein to bahut hui ab lab se karo iqraar
Wo Zeher Dekar Maarte To Duniya Ki Nazron Mein Aa JaateWo zeher dekar maarte to duniya ki nazron mein aa jaateAndaaz-e-qatal to dekho, mohabbat karke chhod diya
Ye Jabr Bhi Dekha Hai Tareekh Kee Nazron NeYe jabr bhi dekha hai tareekh kee nazron neLamhon ne khataa kee thi sadiyon ne saza payi