Ashk Aankh Mein PhirAshk aankh mein phiAshk aankh mein phir atak raha haiKankar sa koi khatak raha haiMain us ke khyaal se gurezaanWo meri sada jhatak raha haiTahreer usi kee hai magara dilKhat padhte hue atak raha haiHain phone pe kis ke saath baateinAur zehn kahaan bhatak raha haiSadiyon se safar mein hai samandarSaahil pe thakaan tapak raha haiEk chaand saleeb-e-shaakh-e-gul parBaali kee tarah latak raha hai
Aankh Se AankhAankh se aankAankh se aankh milata hai koi;Dil ko khinche liye jata hai koi;Va-e-hairat ke bhari mehfil mein;Mujh ko tanha nazar aata hai koiChahiye khud pe yakeen-e-kaamil;Haunsla kis ka badhata hai koiSab karishmat-e-tasavur hai 'shakeel';Varna aata hai na jata hai koi
Band Aankh Se SapneBand aankh se sapnBand aankh se sapne bunte bunte umar guzar gayi apniTootey dil ke raizey chunte chunte umar guzar gayi apniWoh hum se bichar kar kaise jeeta hogaBass yehi sochte sochte umar guzar gayi apniUs ki talaash mein nikle, apna pata bhool gayePhir khud ko khojte khojte umar guzar gayi apniShamaa ban to gaye roshni ki khatirMagar phir jalte jalte umar guzar gayi apniUss ne manaa ki deewaar torr kar pukaara to sahiLekin rukte rukte umar guzar gayi apniAb yeh zindagi ussi ki amaanat hai waqasJiss ki raah takte takte umar guzar gayi apni
Kahaan Tak Aankh Roegi Kahaan Tak Kiska Gham HogaKahaan tak aankh roegi kahaan tak kiska gham hogaMere jaisa yahan koi na koi roz kam hogaTujhe paane kee koshish mein kuch itna ro chuka hun mainKi tu mil bhi agar jaye to ab milne ka gham hogaSamandar kee galatfehmi se koi puch to letaZameen ka haunsala kya aise toofaano se kam hogaMohabbat naapne ka koi paimana nahi hotaKahin tu badh bhi sakta hai, kahin tu mujh se kam hoga
Aye Dost Teri Aankh Jo Nam Hai To Mujhe KyaAye dost teri aankh jo nam hai to mujhe kyaMain khoob hansunga tujhe gham hai to mujhe kyaKya main ne kaha tha ki zamane se bhala karAb tu bhi sazavar-e-sitam hai to mujhe kyaHaan le le kasam gar mujhe qatra bhi mila hoTu shaaki-e-arbaab-e-karam hai to mujhe kyaJis dar se nidamat ke siva kuch nahi miltaUs dar pe tera sar bhi jo khham hai to mujhe kyaMaine to pukara hai mohabbat ke ufaq seRaaste mein tere sang-e-haram hai to mujhe kyaBhoola to na hoga tujhe suqraat ka anjaamHaathon mein tere saaghar-e-sam hai to mujhe kyaPatthar na paden gar sar-e-bazaar to kehnaTu motarif-e-husn-e-sanam hai to mujhe kyaMain sarmad-o-mansoor bana hun teri khaatirYeh bhi teri umeed se kam hai to mujhe kya
Ab to meri aankh me ek ashk bhi nahinAb to meri aankh me ek ashk bhi nahinPehle ki baat or thi, gam tha naya naya