Na Woh Aaye Aur Na Koi Unka Paigaam AayaNa woh aaye aur na koi unka paigaam aayaIntezar mein apne tadapa kar humein hai rulayaHumse khataa hui agar koi, tum bata toh deteAisi bhi kya naraazgi thi jo humein aapne bhulaya
Naye Kapde Badal Kar Jaun Kahan Aur Baal Banaun Kis Ke LiyeNaye kapde badal kar jaun kahan aur baal banaun kis ke liyeWoh shakhs to shehar hi chodd geya main bahar jaun kis ke liyeMuddat se koi aayaa na geya sunsaan padi hai ghar kee fazaaIn khali kamron mein 'nasir' ab shama jalaun kis ke liiye
Kaise Guzarti Hai Meri Har Ek Sham Tere BagairKaise guzarti hai meri har ek sham tere bagairAgar tu dekhle to kabhi tanhaa na chhodti mujhe
Tamanna Se Nahi Tanhayi Se Darte HainTamanna se nahi tanhayi se darte hainPyaar se nahi ruswayi se darte hainMilne kee chahat to bahut hai magarMilan ke baad kee judai se darte hain
Khoobsurat Hai Zindagi Khwaab Kee TarhaKhoobsurat hai zindagi khwaab kee tarhaJaane kab toot jaaye kaanch kee tarhaMujhe na bhoolna kisi baat kee tarhaApne dil mein hi rakhna khoobsurat yaad kee tarha
Bhule Hain Rafta Rafta Unhein Muddaton Mein HumBhule hain rafta rafta unhein muddaton mein humKishton mein khudkhushi ka mazaa hum se puchiye