Is Zamane Ki Ajab Tishna-Labi Hai Ai 'Zafar'Is zamane ki ajab tishna-labi hai ai 'zafar'Pyaas us ki sirf bujhti hai hamare khoon se
Main To 'Munir' Aaine Mein Khud Ko Taak Kar Hairan HuaMain to 'munir' aaine mein khud ko taak kar hairan huaYe chehra kuch aur tarah tha pehle kisi zamaane mein
Ek Majzoob Udasi Mere Andar Gum HaiEk majzoob udasi mere andar gum haiIs samundar mein koi aur samundar gum hai
Sunne Wale Ro Diye Sun Kar Mareez-e-Gham Ka HaalSunne wale ro diye sun kar mareez-e-gham ka haalDekhne wale taras kha kar dua dene lage
Koi Naam Hai Na Koi Nishaan Mujhe Kya HuaKoi naam hai na koi nishaan mujhe kya huaMain bikhar gaya hun kahan kahan mujhe kya hua
Saath Chalta Hai Koi Aur Bhi Su-e-ManzilSaath chalta hai koi aur bhi su-e-manzilMujh ko dhokha mere naqsh-e-kaf-e-pa dete hain*naqsh-e-kaf-e-pa: footprint