Hum Rone Pe Aa Jayein To Dariya Hi Baha DenHum rone pe aa jayein to dariya hi baha denShabnam kee tarah se humein rona nahi aata
Itne Aansu To Na The Deeda-e-Tar Ke AageItne aansu to na the deeda-e-tar ke aageAb to paani hi bhara rehta hai ghar ke aage
Kitnon Ko Jigar Ka Zakhm Seete DekhaKitnon ko jigar ka zakhm seete dekhaDekha jise khoon-e-dil hi peete dekhaAb tak rote the marne walon ko aur abHum ro diye jab kisi ko jeete dekha
Itne Aansu To Na The Deeda-e-Tar Ke AageItne aansu to na the deeda-e-tar ke aageAb to paani hi bhara rehta hai ghar ke aage
Tar-Damani Pe Shaikh Hamari Na JaiyoTar-damani pe shaikh hamari na jaiyoDaman nichod den to farishte vazu karen
Kabhi Khud Par Kabhi Halaat Pe Rona AayaKabhi khud par kabhi halaat pe rona aayaBaat nikli to har ek baat pe rona aaya