(maa,baap) k liye subko choor dena, . lekin sub k liye maa baap ko mat chhorna q,k jab maa baap roty hain to farishton ko bhi rona ata hai, dua ne kha. maa wo hsti hy jo gunah gaar olad ko b dozak se bacha leti hy . . jannat ne kha. maa wo hasti hy k jo mujhko b qdmo k nichy daba deti hy . allah ne kha. maa meri traf se insan k liye qimti or nayab tohfa hy.
Once an old age mother was sitting with her son. . 1 kawa pas betha tha maa ne pocha k beta ye kia ha? beta: ye kawa ha. . maa ne kuch dair baad phr pocha k ye kia ha? beta: ye kawa ha. . maa ne phr pocha ye kia ha? beta: ghusay se bola k kitni dafa btaon k ye kawa ha. . maa hansi or boli k beta jb tu 3 saal ka tha yehi jaga thi or aise he kawa pas betha tha or tm ne 40 dafa pocha tha or mein ne 40 dafa tera matha chom k btaya tha k ye kawa ha. . *love u mom*
-=- m a a -=- . mujhy yun hi rakhna !! apni narm chhao'n mein apni garm baanho'n mein koi dukh nahi mujh ko tu jo paas hy mere koi darr nahi mujh ko yun hi shadman rehna yun hi meherban rehna ... dedicated to my amma.
"wujood-e-aadam k do musavver... koi na jaaney ye raaz kia hy...? alag hyn donon k naam lekin... kabhi wo maa hy kabhi khuda hy... *happy mother's day*
Hogaye jawan bachay bay chiragh aankho mai khwab bo rhi hy maa rooti apne hisay ki de k apne bachon ko sabr ki rida orhay bhoki so rahi hy maa sans ki mariza hy phr b thanday pani se kitni sakht sardi may kapray dho rahi hy maa gair ki shkayat pr phir kisi shrarat pr maar kr mujhay khud hi ro rhi hy maa khelne se jo mujhko rokti thi mitti may orh kr usi mitti ko aaj so rahi hy maa respect ur mothers dedicated to all mothers.
Soch raha hoon is mother day pe maa ko kya gift doon. . . . got an idea . . . ! . . . . 1 bahoo kaisi rahy gi...
*maa k liye dua* . . ya *rab* meri *maa* ko lazawal rakhna, main rahon na rahon meri *maa* ka khayal rakhna, meri khushiyan bhi ley ley meri sansain bhi ley ley, magar meri *maa* k gird sada khushiyon ka jaal rakhna... . aamiin . happy mother's day.
Maa ki baat jaan le jo, aankhon se parh le jo, dard ho chahe khushi, aansoo ki pechan kerle jo, wo hasti jo bepanna pyaar kare, maa hi to hai wo jo bacho ke liye jiye.
Ek hasti hai jo jaan hai meri, jo aan se bhi barh kar maan hai meri, khuda hukum day to kar don sajda usay, kyon k woh koi aur nahi "maa" hai meri.
Maa ki mumta kaun bhulaye, kaun bhula sakhta woh pyaar, kis tarah bataun kaise ji rahae hum, tu toh baitee pardais mein, gale tujhe kaise lagaun, lekin bhej raha hon pyaar is sms mein, tera beta meri pyari maa.
Mout ki aghosh me jab thak k sojati he"maa" tab kahin jakar k thora sa sukun pati hai"maa" rooh k rishto ki ye gehraian to dekhye chot lagti hai hamain or chilati hai "maa" mangti hi kuch nahi apne liy allah se apne bachon k liy daman ko phelati he "maa" pyar kehte hai kise or mamta kia cheez hai, koi un bacho se puche jinki guzar jati hai "maa" chahe hm khushion me "maa" ko bhul jaen dosto, jab musibat sar pe ati hai to yad aate hai "maa".
"jab madine me islam aam ho chuka to nabi (saw) ne farmaya: "agar aj meri maa zinda hoti, aur main namaz-e-isha men khara hota, or meri maa hujre se mujhe awaz deti, o'muhammad (saw).! to khuda ki qasam, main farz namaz chor kar dorta hua jata,or maa k qadmon men gir jata" subhanallah 'happy mother's day'