Hashar tak dalen gay hum pedaish_e_mula ki dhoom wo jo na they tu kuch na tha wo jo na hon gay tu kuch na ho, jaan hain wo jahan ki jaan hai tu jahan hai…
Na kyun araish karta khuda duniyan ke saman mein…? tumhe dulha bana kar bheja tha bazam_e_imkaan mein…
They parindey su ba su le k har ik gul ki bu, kar rahe they guftgu balagal ula be kamaley hi, thi munawar sab fiza jahan tak uthti thi nigah-aaa rahi thi yoon sadaa- kashafuddu ja bay jmalay hi bulblein bhi apne shouq mein dale hue gul toq mein, kehtein thein apne zoq mein hasanat jamee o khisalay hi, chiriyon k sun k cheh chahay insaan bhi bhala kyun chup rahy, laazim hai is pe youn kahe sallu aalihi wa aalih hi…
Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota… muhammad (s.a.w) k ghulamon ka kafun mela nahi hota… eid mailad_un_nabi mubarik…
Eid milad un nabi mubarak tamam bani nooh jinnat-e-insaano ko the holy prophet muhammad (s.a.w) ka jashan-e-zahoor bohat mubarak ho.
Duniya ki her fiza mein ujala rasool ka, ye saari kainaat hai sadqa rasool ka khushbu-e-gulab hai pasina rasool ka, aap ko bhi ho mubarak mahina rasool ka” eid-e-milad-un-nabi mubarak ho.
Huzoor (p.b.u.h) apni viladat ki khushi me youme viladat wale din yani her peer ko roza rakhte or farmate k me allah ka shukr ada kerne ke liay har peer ke din roza rakhta hun. hum bhi is khushi me shamil ho sakte hen wo is tarha ke ayenda hamesha namazon ki pabandi kerne ki pakki niyat ker len or kal ka roza rakh len or is ka gift aap alehis salam ko bhej den…
Hr ibtada sy pehlay hr intaha k bad zate- nabi” bolund hy “zat-e-khuda” k bad dunya me ehtram k qabil han jitny log main sub ko manta hun mgr “mustafa”k bad.
Hazrat muhammad (s. a.w) said jo shakhs dastar khawan say khanay k giry huy tukry utha kr khay ga wo khabi tang das nahi ho ga, us ki olad or olad ki olad kam aqli say mehfooz rehti ha reference (adab-e-taam).
Allah tallah hum sub k0h sedhi raah per chalny ke taufeeq ataa farmay ameen happy eid milaad-un-nabi.