Teacher= tum kal school kyu nahi aaye the.? santa= main bimaar tha. teacher= sach bol do main tumhe kuch nahi karungi. santa= bed pe let ke tv dekh raha tha.
Yeh sheeshe yeh sapne yeh dhage, kise kya khabar hai kahan toot jaye. mohhabat ke dariya main tinke waffa ke, na jane yeh kiss mod par doob jaye.
Gile shikwe na dil se laga lena, kabhi maan jana to kabhi manaa lena, kal ka kya pata hum ho na ho, jab mauka mile thoda has lena aur hasaa dena.
Kal fursat na mili to kya hoga, itni mohlat na mili to kya hoga, roz kehte ho kal milenge, kal milenge, kal meri aakhen na khuli to kya hoga.
Sath chhutne se rishte nahi tuta karte, waqt ki dhundh se lamhe nahi tuta karte, log kehte hain mera sapna tut gaya, tutati to nind hai sapne nahi tuta karte.
Kashti toofan se nikal sakti hai, shama bujh ke bhi jal sakti hai, mayus na ho irade na badal aye dost, kismat kisi bhi waqt badal sakti hai.
Is kadar na har baat yaron se pucho, jo baat raaz ki ho isharon se puchho, leharo se khelna to samandar ka shauk hai, lagti hai chot kaisi kinaron se puchho.
Taqdeer ke khel se kabhi mayoos nahi hote, zindagi mein aise kabhi udaas nahi hote, hathon ki lakeeron par vishwas mat karna, taqdeer to unki bhi hoti hai jinke hath nahi hote.
Wo khafa bhi hota hai to zahir nahi karta, kasoorwar hain hum ye bhala khabar kaise ho, jiske deed se dhadkano ko rahat hoti hai, aadin bina us chand ke zindagi ye basar kaise ho.
Sham suraj ko dhalna sikhati hai, shama parwane ko jalana sikhati hai, girne wale ko hoti to hai takleef, par thokar hi insaan ko chalna sikhati hai.
Agar manzil pana hai to hausala sath rakhna, agar pyar pana hai to aitbar sath rakhna, aur agar chaho hamesha muskurana, to sab bhoolkar bas hamein yaad rakhana.
Ya khuda meri duaon mein itna asar karde, khushiyan use, dard uska mujhe nazar kar de. dilon se dooriyon ka ehsaas mita de ya maula, nahin to uske aanchal ko mera kafan kar de.