Ye Waqt-e-Rafta Ki Raanaiyon Ki Karri Hai

SHARE

Ye waqt-e-rafta ki raanaiyon ki karri hai
Insaan ki ghatti qadar waqt ki barhi hai
Khapta hun zinda rehny ko main lamha ba lamha
Rooh hai bistar-e-marg tujhy jaan ki parri hai
Samandar sy nahi gharaz hai qatra meri pyaas
Idhar boond ko tarsoon udhar barkha ki jharri hai
Rawaan hon lamby safr py zindagi ki musaafat my
Har pal hai naya rasta har lamha manzil kharri hai
Karen bhi fakhr to kis baat py karen
Zindagi apni chandd sansoon my arri hai
Kurhh'taa hai 'jeevan' kiyun naalan hai taqdeer sy
Baat koi nayi nahi ye addan ki larri hai

SHARE