Apno Ko Apno Ke Jazbaat Se Khelta Dekha

SHARE

Apno ko apno ke jazbaat se khelta dekha hai
Jhoot sun sun ke sach ka katl hote dekha hai
Nahi fark padhta unhein kya kya gujregi kisi par
Unko toh humne bas armano ko kuchlate dekha hai
Lamha lamha door hone ka gham satata rahta hai
Us duri ka hamne unhe fayda uthate dekha hai
Kar ke sitam fir khate hain apno ki jhuti kasam
Un kasmo ko humne hamesha tutate huye dekha hai
Farebi nahi hain hum fir bhi kahlaate hain farebi
Farebi kahke hamein us ko humne hansate huye dekha hai
Sambhali apni har khusi uski sachhi ibadat ke liye
Khusiyan bantate humne unhe gairon ke sath dekha hai

This is a great gham shayari by famous urdu poets. If you like uski hasi shayari then you will love this. Many people like it for akele hain shayari. Share it to spread the love.

SHARE