Udas Aankhon Se Aansu Nahi Nikalte Hain

SHARE

Udas aankhon se aansu nahi nikalte hain
Ye motiyon kee tarah sipiyon mein palte hain
Ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hain
Tamam raat khajuron ke ped jalte hain
Main shah reh nahin, raste ka pathar hun
Yahan sawar bhi paidal utar kar chalte hain
Unhe kabhi na batana main unki aankhein hun
Wo log phool samajhkar mujhe masalte hain
Ye ek ped hai, aa iss se milkar ro lein hum
Yahan se tere mere raaste badalte hain
Kai sitaron ko main janata hun bachpan se
Kahin bhi jaun mere saath saath chalte hain

This is a great aansu shayari.

SHARE