Jis Tarah Bhi Ho Saka

Jis Tarah Bhi Ho Saka Us Tarah Toda Mujhe

SHARE

Jis tarah bhi ho saka

Jis tarah bhi ho saka us tarah toda mujhe;
Zindagi ne maut ke qabil nahi samjha mujhe;

Zindagi maankar chalati rahi ghoda mujhe;
Har kadam par maarti hai ek naya koda mujhe;

Zindagi har waqt meri peeth par baithi rahi;
Apni marzi ke mutabiq har taraf moda mujhe;

Is tarah apno ke ehsaan hai mujh par bahut;
Chot de kar dil ko sheeshe ki tarah joda mujhe;

He zindagi meri tujhse iltiza itni hai bus;
Chodhkar nafrat ki bhasha pyar de thoda mujhe;

Warna ek din jalti hui aag se bolegi meri laash yoon;
Zindagi ne aag ke dariya me laa chhoda mujhe

This is a great mujhe maaf shayari. If you like phoolon ki tarah shayari then you will love this. Many people like it for cigarette ki tarah shayari. Share it to spread the love.

SHARE