Janoon Kaar Farma

SHARE

Janoon kaar farm
Janoon kaar farma hua chaahta hai
Qadam dasht paima hua chaahta hai
Dam-e-girya yeh kiska tasawur hai dil mein
Keh ashkon se darya baha chaahta hai
Khat aane lage shikwa aamez unke
Milaap un se goya hua chaahta hai
Abhi lene paae nahin dam jahan mein
Ajal ka taqaaza hua chaahta hai
Bahut chain se din guzarte hain, hali
Koi fitna barpa hua chaahta hai

This is a great akele hain shayari. If you like jawab e shikwa shayari then you will love this. Many people like it for shikwa shikayat shayari in hindi. Share it to spread the love.

SHARE