Aaj Zara Fursat

SHARE

Aaj zara fursa
Aaj zara fursat paayi thi aaj use phir yaad kiya
Band gali ke aakhiri ghar ko khol ke phir aabad kiya
Khol ke khidkii chand hansa phir chand ne dono hathon se
Rang udaye phool khilaye chidiyon ko aazad kiya
Bade bade gham khade hue the raasta roke raahon mein
Choti choti khushiyon se hi hum ne dil ko shaad kiya
Baat bahut mamuli si thi uljh gayi takraron mein
Ek zara si zidd ne aakhir dono ko barbaad kiya
Danaon ki baat na maani kaam aayi nadaani hi
Suna hawa ko padha nadi ko mausam ko ustad kiya

This is a great gham shayari by famous urdu poets. If you like april phool shayari then you will love this. Many people like it for yaad shayari 2 lines. Share it to spread the love.

SHARE