Taaron Se Mera Jaam Bharo Main Nashe Mein Hun

SHARE

Taaron se mera jaam bharo main nashe mein hun
Ai sakinaan-e-khuld suno main nashe mein hun
Kuch phool khil rahe hain sar-e-shakh-e-may-kada
Tum hi zara ye phool chuno main nashe mein hun
Thehro abhi to subah ka maara hai zau-phishan
Dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun
Nasha to maut hai gham-e-hasti kee dhoop mein
Bikhara ke zulf saath chalo main nashe mein hun
Mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zeest
Ab jaam saamne hi rakho main nashe mein hun
Payal chanak rahi hai nigaar-e-khayal kee
Kuch ehatimaam-e-raqs karo main nashe mein hun
Main dagmaga raha hun bayabaan-e-hosh mein
Mere abhi kareeb raho main nashe mein hun
Hai sirf ek tabasum-e-rangeen bahut mujhe
'saghar' b-dosh lala-rukhon main nashe mein hun

This is a great ek jaam shayari. If you like nashe ki shayari in hindi then you will love this. Many people like it for bharosa shayari. Share it to spread the love.

SHARE