Phool The Baadal Bhi Tha Aur

SHARE

Phool the baadal bhi tha au
Phool the baadal bhi tha aur vo haseen soorat bhi thi
Dil mein lekin aur hi ek shakal kee hasrat bhi thi
Jo hawa mein ghar banaye kaash koi dekhta
Dasht mein rehte the par taameer kee aadat bhi thi
Keh geya main samane us ke jo dil ka mudda
Kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi
Ajanabi sheharon mein rehte umr saari kat gayi
Go zara se fansale par ghar kee har rahat bhi thi
Kya qayamat hai 'munir' ab yaad bhi aate nahi
Vo purane aashna jin se humein ulfat bhi thi

This is a great april phool shayari. If you like khubsurat phool shayari then you will love this. Many people like it for phool ki shayari in hindi. Share it to spread the love.

SHARE