Khud Ko Kyuun Jism

SHARE

Khud ko kyuun jis
Khud ko kyuun jism kaa zindaan karen
Fikar to takht-e-sulemaani karen
Der tak baith ke sochn khud ko
Aaj phir ghar mein biyaabaani karen
Apne kamre mein sajaayen aafaaq
Jalsa-e-be-sar-o-saamaani karen
Umar bhar sher kahen khuun thuuken
Muntakhib raasta-e-nuqsaani karen
Khud ke liye mol len izhaar ka qarz
Duusron ke liye aasaano karen
Sher ke lab pe khamoshi likhen
Harf-e-naa-guftaa ko laa-saani karen
Kimiyaakaari hai fan apnaa saaz
Aag ko baithe hue paani karen
Translation
Zindaani = prisone
Takht-e-sulemani = soloman's thron
Muntakhib = select, choos

This is a great khud gharz shayari. If you like khud khushi shayari then you will love this. Many people like it for khud ki shayari. Share it to spread the love.

SHARE