Dil Daba Jata Hai

SHARE

Dil daba jata ha
Dil daba jata hai kitna aaj gam ke bhaar se
Kaisi tanhayi tapakti hai dar-o-deewar se
Manzil-e-iqrar apni aakhiri manzil hai ab
Hum ke aaye hain guzar kar jaada-e-inkaar se
Tarjuman tha aks apne chehra-e-ghum-gashta ka
Ik sada aati rahi aaina-e-asrar se
Mand padte ja rahe the khwab-tasveeron ke rang
Raat utarti ja rahi thi dard kee deewar se
Main bhi 'akbar' karb-aagin jaanta hun zeest ko
Munsalik hai fikr meri fikr-e-shopnah aahur se

This is a great raha nahi jata shayari. If you like roya nahi jata shayari then you will love this. Many people like it for bhulaya nahi jata shayari. Share it to spread the love.

SHARE