Daman-e-Gull Mein

SHARE

Daman-e-gull mei
Daman-e-gull mein hi gulzaar bikhar jaate hain
Aag bujhti hai to angaar bikhar jaate hain
Shama jalti hai sada ek hi lamhe me lekin
Jal ke parwaane kayi baar bikhar jaate hain
Jin ko insaan pirota hai bahut ulfat se
Haaye woh gull sar-e-bazaar bikhar jaate hain
Paaon uthate hain tere koche ki jaanib jab bhi
Apni raahon me kayi khaar bikhar jaate hain
Raat ke pichle pehar kehoon-e-tamanna ki tarha
Hum teri yaad mein ay yaar bikhar jaate hain
Ho ga andaaz-e-wafa un ka alag hi 'mohsin'
Jin ki raahon mein talabgaar bikhar jaate hain

This is a great haseen lamhe shayari. If you like akela insaan shayari then you will love this. Many people like it for akele hain shayari. Share it to spread the love.

SHARE