Ajab Apna Haal Hota

SHARE

Ajab apna haal hot
Ajab apna haal hota jo visaal-e-yaar hota
Kabhi jaan sadqe hoti kabhi dil nisaar hota
Na mazaa hai dushmani mein na hai lutf dosti mein
Koi gair gair hota koi yaar yaar hota
Yeh mazaa tha dillagi ka ke barabar aag lagti
Na tumhein qaraar hota na hamein qaraar hota
Tere vaade par sitamgar abhi aur sabr karte
Agar apni zindagi ka hamein aitbaar hota

This is a great bura haal shayari. If you like ajab duniya shayari then you will love this. Many people like it for apna attitude shayari. Share it to spread the love.

SHARE