Zara Si Der Ko Aaye The Khwab Aankhon MeinZara si der ko aaye the khwab aankhon meinPhir us ke baad musalsal azaab aankhon meinWo jis ke naam kee nisbat se roshani tha wujoodKhattak raha hai wohi aaftaab aankhon meinJinhen mata-e-dil-o-jaan samajh rahe the humWo aaine bhi hue behijab aankhon meinAjab tarah ka hai mausam kee khak udti haiWo din bhi the ki khile the gulab aankhon meinMere ghazal teri wahshaton kee khair, ke haiBahut dinon se bahut iztarab aankhon meinNa jane kaisi qayamat ka peshkhema haiYe uljhanein teri be-intasaab aankhon mein
Shaam-e-Wada SahiShaam-e-wada sahi, dukh zyada hi sahi, phir bhi dekho 'faraz'Aaj shab, us ki furqat mein keh lo ghazal, kal usay dekhna
Zindgi Ke Safar Ko Lafzo Mein Piroya Hua HaiZindgi ke safar ko lafzo mein piroya hua haiApni har ghazal ko dard mein bhigoya hua haiAaj zyada zor-zor se wah-wah na kehna kambakhtonKyunki andar mera khadoos baap soya hua hai!
Main Kise Suna Raha Hoon Ye Ghazal Mohabbaton KiMain kise suna raha hoon ye ghazal mohabbaton kiKahin aag saazishon ki kahin aanch nafraton kiKoi baagh jal raha hai ye magar meri dua haiMere phool tak na pahunche ye hawa tamazaton ki
Ghazal Uss Ne Chhedi Mujhe Saaz DenaGhazal uss ne chhedi mujhe saaz denaZara umar-e-rafta ko awaaz dena
Teri Saadgi Ko Niharne Ka Dil Karta HaiTeri saadgi ko niharne ka dil karta haiTamaam umar tere naam karne ka dil karta haiEk muqammal shayari hai tu kudrat keeTujhe ghazal banake zuban pe lane ka dil karta hai