Apne Dil Kee Khoj Mein Kho Gaye Kya-Kya LogApne dil kee khoj mein kho gaye kya-kya logAansu tapti ret mein bo gaye kya-kya logKirnon ke toofan se bajre bhar-bhar karRoshniyan us ghaat par dho gaye kya-kya logSaanjh samay is kunj mein zindagiyon kee autBaj gayi kya-kya bansauri ro gaye kya-kya logMaili chaadar taan kar is chaukhat ke dwarSadiyon ke kohraam mein so gaye kya-kya logGathdi kaal rain kee sonti se latkayeApni dhun mein dhyan nagar ko gaye kya-kya logMeethe meethe bol mein dohe ka hindolSun sun us ko bhanware ho gaye kya kya log
Tumhari Yaad Ke Jab Zakhm Bharne Lagte HainTumhari yaad ke jab zakhm bharne lagte hainKisi bahane tumhein yaad karne lagte hainHadis-e-yaar ke unavan nikharane lagte hainTo har harim mein gesu sanwarne lagte hainHar ajnabi humein mehram dikhai deta haiJo ab bhi teri gali se guzarne lagte hainSaba se karte hain gurbat-nasib zikr-e-vatanTo chashm-e-subah mein aansu ubharne lagte hainWo jab bhi karte hain is nutq-o-lab kee bakhiyagariFaza mein aur bhi nagme bikharne lagte hainDar-e-qafas pe andhere kee mohar lagti haiTo 'faiz' dil mein sitare utarane lagte hain
Arz Kiya Hai:Arz kiya haiDil mein dard hai aur ankhon mein ansu haiWah wahDil mein dard hai aur ankhon mein ansu haiZara apni wale ka number dena, suna hai baadi dhassu hai
Buhat Chahenge TumheBuhat chahenge tumhe, magar bhula na sakengeKhayalon mein kissi aur ko la na sakengeKissi ko dekh kar aansu to ponch lageinMagar kabhi aapke bina muskura na sakenge
Phir Aaj Aansuyon Mein Nihaayi Hui Hai RaatPhir aaj aansuyon mein nihaayi hui hai raatShayed hamari tarah hi sataayi hui hai raat
Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi HotaIs duniya mein koi kisi ka nahi hotaLakh nibhao rishta koi apna nahi hotaGalatfehmi rehti hai kuch dino ke liyeLekin uske baad aankhon mein aansuon ke siwa kuch nahi hota