Zindagi Mein To Sabhi Zindagi Mein To Sabhi Pyaar Kiya Karte HainZindagi mein to sabhZindagi mein to sabhi pyaar kiya karte hainMain to markar bhi meri jaan tujhe chahoongaTu mila hai to ye ehsaas huaa hai mujhkoYe meri umar mohabbat ke liye thhodi haiEk zara sa ghum-e-dauraan ka bhi haq hai jis parMaine wo saans bhi tere liye rakh chhodi haiTujh pe ho jaaoonga qurban tujhe chahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaApne jazbaat mein naghmaat rachaane ke liyeMaine dhadkan ki tarah dil mein basaaya hai tujheMain tasavvur bhi judaai ka bhala kaise karoonMaine kismat ki lakeeron se churaaya hai tujhePyar ka banke nigehbaan tujhe chaahoongaMain to markar bhi meri jaan tujhe chaahoongaTeri har chaap se jalte hain khayaalon mein chiraagJab bhi tu aaye jagaata huaa jaadu aayeTujhko chhulun to aye jaan-e-tamanna mujhkoDair tak apne badan se teri khushboo aayeTu bahaaron ka hai unwaan tujhe chaahoongaMain to marrkar bhi meri jaan tujhe chaaoounga
Dil Dhoondhta HaiDil dhoondhta hai, phir waheDil dhoondhta hai, fir wahee furasat ke raat dinBaithhe rahe tasavvur-e-jaanaa kiye huyeJaadon kee narm dhoop aur, aangan mein let karAankhon pe khinch kar tere, aanchal ke saaye koAaundhe pade rahe kabhee, karawat liye huyeBarfilee sardiyon mein, kisi bhee pahaad parWaadee mein gunjatee huyee, khaamoshiyaan sooneAankhon mein bheege bheege se, lamhe liye huyeYaa gamreeyon kee raat jo poorawaaeeyaan chaleThhandee safed chaadaro pe jaage der takTaaron ko dekhate rahe chhat par pade huye
Meri Zindagi To Firaaq Hai Meri Zindagi To Firaaq HaiMeri zindagi to firaaq haMeri zindagi to firaaq hai, wo azal se dil k makeen sahiWo nigah-e-shoq se door hon, rag-e-jaan se laakh qareen sahiHamein jaan deni hai ek din, wo kisi tarah wo kahein sahiHamein aap khinchein daar per, jo nahi koi to hum hi sahiSar-e-toor ho, sar-e-hashar ho, hamein intizaar qabool haiWo kabi mile, wo kahin mile, wo kabi sahi, wo kahin sahiNa ho un per jo mera bus nahi, k yeh aashqi hai hawas nahiMai unhi ka tha, mai unhi ka hoon, wo mere nahi to nahi sahiJo ho faisla wo sunaye, use hashar per na uthayeJo kareinge aap sitam wahan, wo abhi sahi, wo yahin sahiUseh dekhne ki jo loo lagi, to 'naseer' dekh hi leinge humWo hazar aankh se door ho, wo hazar parda-nasheen sahi
Aaj Phir Ji Bhar Ke Aaj Phir Ji Bhar Ke Pi Aaya Hoon MainAaj phir ji bhar kAaj phir ji bhar ke pi aaya hoon mainDekhte hi teri aankhen shola saamaan ho gaienShukar kar ai jaan ke mainHoon dar-e-afrang ka ik adna ghulaamSadar-e-aazam yaani daryooza gar-e-aazam nahinWarna ik jaam-e-sharab-e-arqhawaanKya bujha sakta mere seena-e-sozaan ki aagGhum se mar jaati na tuAaj pi jo mainJaam-e-rangeen ke bajaaeBekason aur naatwaan ka lahuShukar kar ai jaan ke mainHoon dar-e afrang ka ik adna ghulaamAur behtar aish ke qaabil nahin
Yaadien Aksar Hoti Hain Satane Ke LiyeYaadien aksar hoti hain satane ke liyeKoi rooth jaata hai phir maan jaane ke liyeRishte nibhana koi muskil toh nahiBas dilon me pyaar chahiye use nibhane ke liye
Uska yu aise chup sa rehna Acha lgta h…Uska yu aise chup sa rehnAcha lgta h…Bin lafzo ke bhut kuch kehna acha lgta h…Ab ye hla hai kUnke peche ek becheni aur samne ek khamoshi mai rehte hu….Uski har khushi k lia…Har bat mai ha kheta hu….Vo khush hai ye jan kar khush rehta huUski muskurahat dekh kar khush rehta hu….Uske liye ye kar kar…….. acha lgta Vo jab apni nigha uthyegi to jaan legi me kya sochta hu…Lehro k par jab dekh paigi to jaan legi mai kya sochta hu….Par jab tak ye nadani harkate krna….Acha lgta h… . . . . .