Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar

SHARE

Uljhay huay haalaat ka shikwa na kiya kar..
Khairaat mein khushiyon ki tamanna na kiya kar..!
So baar kaha itni mohabbat nahin achi..
So baar kaha itna bharosa na kiya kar..!
Haalaat hamain aik kabhi honay nahin dengay..
Ae dost meray, meri tamanna na kiya kar..!
Kya janay ye kis morr pay lay jay zamana..
Tu mujh ko kisi pal bhi elehda na kiya kar..!
Mumkin ha kisi roz bichar jaon achanak..
Tu mujh say pyar itna ziyada na kiya kar…!

SHARE