Intezaar Karte Hai Hum Unka Der Tak

SHARE

Intezaar karte hai hum unka der tak
Unko na aane ki aadat si ho gayi hai
Baat baat pe muskurate thae hum
Aab to roone ki aadat si ho gayi hai
Kabhi talab karte thae unse hum
Aab to berukhi sehne ki aadat si ho gayi hai
Kabhi ek humdard chahte thae hum bhi
Par aab to tanha gum sehne ki aadat si ho gayi hai
Jab se sochna shuru kiya hai unko
Saari saari raat jaagne ki aadat si ho gayi hai
Aab to chahe chhod bhi de humein wo
Unke bin rehne ki aadat si ho gayi hai
Jise bhi chaha humne wo chor kar chala gaya
Aab to khone ki aadat si ho gayi hai
Jab se wo gaye hai humein chor kar
Tab se chup rehne ki aadat si ho gayi hai
Unse na koi shikwa na koi shikayat hai humein
Bas khud se shikayat karne ki aadat si ho gayi hai
Malum hai ke humari kismat mei wo nahi
Bas kismat se ladne ki aadat si ho gayi hai
Wo jahan bhi rahe bas khush raho
Ye dua mangne ki aadat si ho gayi hai

SHARE