Sar-e-Sehra Musafir Ko Sitara Yaad Rehta Hai

SHARE

Sar-e-sehra musafir ko sitara yaad rehta hai
Main chalta hun mujhe chehra tumhara yaad rahta hai
Tumhara zarf hai tum ko mohabbat bhool jati hai
Humein to jis ne hans kar bhi pukara yaad rehta hai
Mohabbat mein jo doobaa ho use sahil se kya lena
Kise is bahaar mein ja kar kinara yaad rehta hai
Bahut leharon ko pakda doobane wale ke haathon ne
Yahi bas ek dariya ka nazara yaad rehta hai
Sadayein ek si yaksaniyat mein doob jati hain
Zara sa mukhtalif jis ne pukara yaad rehta hai
Main kis tezi se zinda hun main ye to bhool jata hun
Nahi aanaa hai duniya mein dobaraa yaad rehta hai

This is a great akela musafir shayari. If you like yaad shayari 2 lines then you will love this. Many people like it for musafir hoon shayari. Share it to spread the love.

SHARE