Rukne Ka Samay Guzar Geya Hai

SHARE

Rukne ka samay guzar geya hai
Jana tera ab thehar geya hai;
Rukhsat kee ghadi khadi hai sar par;
Dil koi do-neem kar geya hai;
Maatam kee fazaa hai shehar-e-dil mein;
Mujh mein koi shakhs mar geya hai;
Bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis;
Phir khwaab-e-sabaa bikhar geya hai;
Bas ek nigaah kee thi us ne;
Saraa chehra nikhar geya hai!

This is a great bura samay shayari. If you like shukar guzar shayari then you will love this. Many people like it for samay ki dhara shayari. Share it to spread the love.

SHARE