Gali gali main usi ka parcham
usi ka sajda jabeen jabeen hey
qadam qadam pey sabeel us ki
nazar nazar main wohi makeen hai
hawa hawa main usi kay nohay
wohi tasveer khla nasheen hey
usi ka matam hey aag per bhi
usi ka gham khuld ka ameen hai
falak falak pay lahoo usi ka
usi ki majlis zameen zameen hai
hussainiat ko mitanay walo
hussainiat ab kahan nahee hai