Kiya Hai Pyaar Jise Hum Ne Zindagi Ki TarahKiya hai pyaar jise hum ne zindagi ki tarahWoh aashna bhi mila hum se ajnabi ki tarahKise khabar thi badhegi kuch aur tarikiChhupega woh kisi badli mein chandani ki tarah
Mil Mujh Se Ai Pari Tujhe Quran Ki KasamMil mujh se ai pari tujhe quran ki kasamDeta hun tujh ko takht-e-sulaiman ki kasamKarr-o-bayon ki tujh ko kasam aur arsh kiJibril ki kasam tujhe rizwan ki kasam*karr-o-bayon: creations other than human being
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyun Bujh Geya AawargiYe dil ye pagal dil mera kyun bujh geya aawargiIs dasht mein ik shehar tha, wo kiya hua aawargiKal shab mujhe be-shakal ki aawaz ne chonka diyaMaine kaha tu kaun hai usne kaha aawargi
Ankhon Se Karen Kya Tunak Aabi Ki ShikayatAnkhon se karen kya tunak aabi ki shikayatDil hi ke lahu se kabhi palkon ko bhigo len
Jo Dil Rakhte Hain Seene Mein Woh Kaafir Ho Nahi SakteJo dil rakhte hain seene mein woh kaafir ho nahi sakteMohabbat deen hoti hai wafa imaan hoti hai
Is Kufr-e-Ishq Se Mujhe Kyon Rokte Ho TumIs kufr-e-ishq se mujhe kyon rokte ho tumImaan walo mera hi imaan jayegaAaj us se maine shikwa kiya tha shararatanKis ko khabar thi itna bura maan jayega